Friday 26 December 2014

Armaan

Kya chote se dil ka tootna zaroori tha? 
Kya masoom si hassi ka chootna zaroori tha? 
Aik uss shaqs ko zindagi na de kar 
Humara har armaan aur har dua ka naakaam hona zaroori tha? 

Aapki badi si qaainaat mai aik choti si jagah chahiye thi 
Jannat nahi, bas thodi si narmi chahiye thi 
Reham aapki nawazish hai beshaq
Kuch humain bhi aapki rehmatein chahiye thi 

Waqt

Zameen aasmaan aik kar dete agar waqt hota 
Tamaam khuashishen puri karte agar waqt hota 
Tumse judaa na hote, tumko rula na dete 
Dil ko tumhare hawaale karte agar waqt hota 

Yaadein aapki khayalon se jaati nahi 
Chehra dil se rukhsat hota nahi 
Chahe hum kya bhi kar lein 
Aapka humare saath aakhri lamha bhoolta nahi 

Tuesday 16 December 2014

Kya Hun Mai?

Kya hun mai? Kuch nai hun
Bas aik gira hua insaan hi tou hun

Waqt aur zindagi ne jis ko hara diya
Woh badkismat aur bebas makaam hi tou hun

Har aik jis ko sare raah chod ke chala gaya
Woh akela aur thaka musibatzada shikaar hi tou hun

Jise kabhi kisi ne sambhala nahi
Jise humesha gham ke siwa kuch mila nahi
Bas ussi kashti mai sawaar aik musafir hi tou hun.

Tou Kya Jaata

Humain tum se mohabbat na hoti tou kya jata
Dil pyaar se bhar na aata tou kya jaata
Agar sab ko iss jahan se jana hi hai
Kuch pal tumhe zindagi ke aur mil jaate tou kya jaata.

Uss khuda ke liye yeh konsi baat hai ki tumhe zindagi dete
Humare liye na sahi, unn sab ke liye tou tumhe yahan kuch aur daer rehne dete
Yun le gaye tumhe  jaise hawa ka jhonka aake chala gaya ho
Aisa lagaa ki uss hawa ke jhonke ke saath humari saari zindagi apne saath le gaya ho

Tum The Nahi

Zindagi ke utaar chadhao mai kho diya tum ko kahin
Tum kehte the saath ho mere, par kabhi saath the nahin
Hum tum se kya gila karein jab khud bhi the behosh pade
Hosh toh aata tha kabhi, par tumhare saath kabhi hosh mai the nahi
Insaan hoon, galtiyon se seekhta hoon
Aik jo galti hui mujh se, maaf karne ke liye tum yahan the nahin
Tadapte the tumhari ik nazar ke liye, socha yaadon se kaam chala lun
Par hua yeh meri kismat mai ki yaadon mai bhi tum the nahin.

Khwahish

Dil mai qaid ik khwahish thi
Aankhon mai chupa ik khwaab
Kaliyon ki khushboo mai chupi ik daastaan thi
Honton pe dabi ik faryaad
Zulm iss qadar tha ki nahi suni kisi ne dil ki baat
Reh gayi unsuni ik baar phir, meri faryaad
Hum kehte reh gaye gam ki daastaan
Waqt ke saath saath chale gaye mere sab meherbaan
Yaadein reh gayi khokhli mere dil mai
Yaadon ka kya karein jab rahe nahi mere qadardaan.

Tragedies

As they say, tragedies change people. They changed me too. This blog is for my poetry in Urdu language.