Thursday 28 January 2016

3

Toota hua dil hai sarkaar 
Thoda pyaar se uthaaye ga 
Pyaar mai haara hai yeh 
Thoda sa reham kijiye ga 
Hum apne aap ke ho na sake
Aapke kya honge 
Woh hum se wafaa na kar sake 
Aap se kya umeed rakhein ge. 

Wednesday 27 January 2016

2

Ab duur se chaahein ge aapko yun
Ki har saans mai aap, mere dil mai aap 
Yeh wohi dil hai jo aap ne toda tha 
Jis ko yun utha kar thukraya tha
Ab ussi dil ke tukdon se chahein ge aapko yun 

Humare Liye

Kasam se uss se behad pyaar karte hain hum 
Woh chahe kahan bhi rahein, jis ke saath bhi rahein 
Hum mohabbat tou usse hi karein ge 
Kyunki unko hum ne nahi mohabbat ne chuna hai humare liye


Tuesday 26 January 2016

Bekaar ke

Hum aadmi hain bekaar ke
Bekaari ke aalam mai bhi pyaar karein ge '
Pyaar karne wale tou bohot milein ge magar
Shidat sirf hum se hi paao ge

Dil seene se nikaal hi do
Bas ab aur sazaa bardasht na hogi humse
Dil kamzor hai, toot gaya bechara
Bas yeh khata hui ki mohabbat ki tumse

Galti phir dohrayein ge
Hum phir se mohabbat karein ge
Kyunki hum aadmi hain bekaar ke
Ilm rakhte hain ki wafaa tou hum se hi paao ge. 

Thursday 21 January 2016

Kya Kijiye

Boondh boondh qatra qatra jama kijiye 
Jab tak aap humain samajhte, aap kahin aur hi chal diye 
Saahilon ne hi dagaa de di, samandar se kya shiqayat karein 
Doob jana hi hai ab, aap ke hone ki umeed kya kijiye


Majnu

Uss baarish ki kasam, mohabbat thi tumse 
Uss aaftaab ki kasam, zindagi thi tumse
Chand ki roshni tou thi magar 
Uss roshni mai noor tha tumse

Nahi hain aap iss layak ki humari mohabbat qabool karein 
Na hain hum iss qaabil ki aapko hum se ishq karne pe majboor karein 
Ja chuke hain aap humari mehfil chod kar
Ajnabi logon mai ab hum kya mujra karein 

Baarish ki boondein girti hain zameen par
Humare aansuon ko ponch leti hai baha kar
Duniya dekhti hai has kar humain yun ki hum hain khade majnu
Magar yeh nahi dekha kabhi 
ki kitne hain andar se hum zakhmi

Friday 15 January 2016

Aap Aur Hum

Pyaar do tarfa hota hai, bharosa hota hai 
Muqarna kisi ka, pyaar ka inteqaam hota hai 
Jaag jayein ge unn sapnon se bhi 
Jo aapke saath dekhe the 
Waqt ke saath bhool jayein ge hum bhi 
Ki kabhi aap se hum aur hum aap se the 
Chaahein kya bhi kar lein, janaab! Aap ki zindagi mai hum aagaye the 
Par yeh kya hua ki aap hi humari zindagi bann gaye the
Ab na aap hain aur na hum 
Khali si duniya aur khali se hum 
Pehchaan na sake aap humain 
Hum woh hain jo aapke qadmon mai dil rakhe khadhe the

Tuesday 12 January 2016

Chod Chale

Unn qasmon aur waadon ko chod chale 
Teri galliyon ko, teri yaadon ko chod chale 
Zikr na karein ge tera kabhi ab se 
Palat ke phir na dekhein ge kabhi ab se 
Jaye, tum jahan bhi jao
Dobara poochein ge nahi ab se 
Tum ne humain chod diya, ab hum tumhe chod chale 
Unn umeedon aur sapnon ko chod chale 

Monday 11 January 2016

Pal

Woh pal jo mere dil ke qareeb the 
Woh pal tumhare liye kuch khaas nahi the
Socha tha zindagi yunhi saath kate gi 
Hum mohabbat karte rahein ge, do badan aik jaan honge 
Aisa socha nahi tha jo mere saath hua 
Dil toota, tum ne todaa, yeh hoga socha nahi tha 

Yaad

Tum mere the, yeh galatfehmi thi. 
Dheere dheere duur hue, galatfehmi bhi duur hoti gayi 
Yaadein aisi hain jo yaad aati hain 
Teri, meri, humari yaadein yaad aati hain 
Chod gaye tum, akele reh gaye hum 
Akele rehte rehte, khud hi kho gaye hum 
Khushi ka koi pata nai, gham yun aagaya yaad humain
Sambhal sambhal ke sambhle nahi, waqt waqt pe yaad aate ho tum humain 

Sunday 10 January 2016

Waqt e ishq

Waqt e ishq ki misaalein dete hain sab, bewaqt ishq ko pooche kaun 
Har waqt ka ishq hota hai aur har ishq ka waqt 
Woh mera waqt nahi tha, woh bewaqt ishq hi tha
Par ishq aur waqt ne dil nahi dekha 
Aashiq ki zindagi ko bikharte nahi dekha 
Bewaqt ishq ki sazaa mili 
Humari ibaadat hum se judaa hui 
Rote rahe, haye haye karte rahe 
Par waqt ja chuka tha, ishq khatam ho chuka tha